sub.h-e-raushan ko añdheroñ se bharī shaam na de
dil ke rishte ko mirī jaan koī naam na de
moḌ aate hī mujhe chhoḌ ke jaane vaale
phir se tanhā.iyāñ be-chainiyāñ kohrām na de
mujh ko mat bāñdh vafādārī kī zanjīroñ meñ
maiñ ki bādal huuñ bhaTak jaane kā ilzām na de
mutma.in donoñ haiñ maiñ aur merī tarz-e-hayāt
tishnagī mere muāfiq hai koī jaam na de
āsmāñ dene kā ai dost dikhāvā mat kar
mujh ko uḌne kī ijāzat tū tah-e-dām na de
haañ nibhā.e haiñ mohabbat ke farā.ez maiñ ne
mustahiq bhī huuñ magar koī bhī in.aam na de
dil ke afsāne kā āġhāz hasīñ hai 'mītā'
silsila yūñhī chale koī bhī anjām na de