Ameeta Parsuram Meeta

ban gae dil ke fasane kya kya

Ameeta Parsuram Meeta

1955
ban ga.e dil ke fasāne kyā kyā
khul ga.e raaz na jaane kyā kyā
kaun thā mere alāva us kā
us ne DhūñDe the Thikāne kyā kyā
rahmat-e-ishq ne baḳhshe mujh ko
us kī yādoñ ke ḳhazāne kyā kyā
aaj rah rah ke mujhe yaad aa.e
us ke andāz purāne kyā kyā
raqs kartī huī yādeñ un kī
aur dil gaa.e tarāne kyā kyā
terā andāz nirālā sab se
tiir to ek nishāne kyā kyā
aarzū merī vahī hai lekin
us ko aate haiñ bahāne kyā kyā
rāz-e-dil laakh chhupāyā lekin
kah diyā us kī adā ne kyā kyā
dil ne to dil hī kī maanī 'mītā'
aql detī rahī ta.ane kyā kyā
Top Urdushayar.com