shiddat-e-shauq se afsāne to ho jaate haiñ
phir na jaane vahī āshiq kahāñ kho jaate haiñ
mujh se irshād ye hotā hai ki samjhūñ un ko
aur phir bhiiḌ meñ duniyā kī vo kho jaate haiñ
dard jab zabt kī har had se guzar jaatā hai
ḳhvāb tanhā.ī ke āġhosh meñ so jaate haiñ
bas yūñhī kahte haiñ vo mere haiñ mere hoñge
aur ik pal meñ kisī aur ke ho jaate haiñ
ham to pāband-e-vafā pahle bhī the aaj bhī haiñ
aap hī fāsle le aa.e to lo jaate haiñ
koī tadbīr na taqdīr se lenā-denā
bas yūñhī faisle jo hone haiñ ho jaate haiñ
kuchh to ehsās-e-mohabbat se huiiñ nam āñkheñ
kuchh tirī yaad ke bādal bhī bhigo jaate haiñ