Ameeta Parsuram Meeta

raqib-e-jaan nazar ka nur ho jae to kya kije

Ameeta Parsuram Meeta

1955
raqīb-e-jāñ nazar kā nuur ho jaa.e to kyā kiije
ziyāñ dil ko agar manzūr ho jaa.e to kyā kiije
vafā karne se vo majbūr ho jaa.e to kyā kiije
mohabbat ruuh kā nāsūr ho jaa.e to kyā kiije
vahī charche vahī qisse milī rusvā.iyāñ ham ko
unhī qissoñ se vo mash.hūr ho jaa.e to kyā kiije
zamāne se gilā kaisā jab apne jism kā saaya
añdhere meñ hamīñ se duur ho jaa.e to kyā kiije
ḳhudā ko itnā chāhūñ to ḳhudā ho jā.egā raazī
magar vo aur bhī maġhrūr ho jaa.e to kyā kiije
munavvar jis ke dam se thiiñ hamārī zindagī 'mītā'
vahī mahtāb gar mastūr ho jaa.e to kyā kiije
Top Urdushayar.com