Ameeta Parsuram Meeta

hazaron manzilen phir bhi meri manzil hai tu hi tu

Ameeta Parsuram Meeta

1955
hazāroñ manzileñ phir bhī mirī manzil hai tū hī tū
mohabbat ke safar kā āḳhirī hāsil hai tū hī tū
balā se kitne hī tūfāñ uThe bahr-e-mohabbat meñ
har ik dhaḌkan ye kahtī hai mirā sāhil hai tū hī tū
mujhe ma.alūm hai anjām kyā hogā mohabbat kā
masīhā tū hī tū hai aur mirā qātil hai tū hī tū
kiyā ifshā mohabbat ko mirī bebāk nazroñ ne
zamāne ko ḳhabar hai mujh se bas ġhāfil hai tū hī tū
tire baḳhshe hue rañgoñ se hai pur-nūr har manzar
yaqīnan bahr o bar kī ruuh meñ shāmil hai tū hī tū
tujhī se guftugū har dam tirī hī justujū har dam
mirī āsāniyāñ tujh se mirī mushkil hai tū hī tū
jidhar jā.ūñ jidhar dekhūñ tire qisse tirī bāteñ
sar-e-mahfil hai tū hī tū pas-e-mahmil hai tū hī tū
Top Urdushayar.com