vo ek shaḳhs ki jo saath saath phirtā thā
nazar jo badlī to phir vo nazar nahīñ aayā
phirā kiye haiñ chahl saal dasht-e-vahshat meñ
kisī ko yaad tirā rahguzar nahīñ aayā
bahut jatāyā kisī ne ki saath saath thā vo
hameñ to yaad koī ham-safar nahīñ aayā
kahā thā shaam se pahle hī lauT aa.egā
hameñ ḳhayāl rahā raat bhar nahīñ aayā
thake hue the bahut baiTh jaate saa.e meñ
hamārī raah meñ koī shajar nahīñ aayā
ye rāh-e-koh-e-nidā hai qadam na apne baḌhā
vahāñ se lauT ke koī bashar nahīñ aayā
bahut hudūd-e-zamān-o-makāñ se duur ga.e
hameñ to raas kabhī bhī safar nahīñ aayā
nahīñ ki yaad patā us ko mere ghar kā na thā
tamām shahr meñ ghūmā idhar nahīñ aayā
misāl-e-sāya thā vo phir bhī duur duur rahā
hazār saal hue lauT kar nahīñ aayā
rahā raqīb se hujjat meñ 'qādrī' masrūf
magar vo le ke tumhārī ḳhabar nahīñ aayā