Khalid Hasan Qadiri

mere aaine mein tum surat-e-zeba dekho

Khalid Hasan Qadiri

-2012
mere ā.īne meñ tum sūrat-e-zebā dekho
tum ne ab tak jo na dekhā ho vo jalvā dekho
ik jahāñ da.avat-e-nazzāra hai kyā kyā dekho
husn-e-dīdār-talab kā bhī tamāshā dekho
jāgtī āñkhoñ ke ḳhvāboñ kī bhī ta.abīreñ hoñ
ḳhvāb kal raat jo dekhā thā adhūrā dekho
hai vahī maulā vahī apnā vakīl aur nasīr
tum yahūd aur nasārā kā sahārā dekho
kurra-e-arz bhī mehvar se haTā jaatā hai
be-jahat husn kā ik ye bhī tamāshā dekho
surma-e-shams-o-qamar rāhat-e-chashm-e-nargis
dil-e-bīnā se hī kaifiyyat-e-fardā dekho
kahkashāñ luuT dī hai haath baḌhā kar ham ne
ab ḳhalā se bhī pare jā ke ujālā dekho
ham ḳhalāoñ se bhī añgāre lapak lete haiñ
kis jagah girtā hai TuuTā huā taarā dekho
na.ī duniyā meñ na.e chāñd sitāre laao
'qādrī' ne bhī lagāyā hai ye shosha dekho
Top Urdushayar.com