Khalid Hasan Qadiri

kuchh na KHat mein na kuchh jawab mein hai

Khalid Hasan Qadiri

-2012
kuchh na ḳhat meñ na kuchh javāb meñ hai
jo bhī kuchh hai tire hisāb meñ hai
ye vafā bhī jafā ke baab meñ hai
jaan merī bhī ik azaab meñ hai
tere jalve se mehr-e-ālam-tāb
nuur jis tarah māhtāb meñ hai
apnī hai aur manzil-e-maqsūd
aap kā kūcha pāturāb meñ hai
kuchh na samjhe haqīqat-e-ālam
saarā hañgāma ek ḳhvāb meñ hai
tum ne kyā baat raat kah dī thī
ġhair bhī aaj iztirāb meñ hai
rashk-e-ishrat hai lazzat-e-hasrat
kuchh gunah meñ hai ne savāb meñ hai
hosh aa.egā ab qayāmat ko
saarī duniyā abhī to ḳhvāb meñ hai
jab se va.ada kiyā hai aane kā
'qādrī' un ke ro.ab-o-dāb meñ hai
Top Urdushayar.com