fasāna-e-ġham-e-dil muḳhtasar nahīñ hotā
ab us galī se hamārā guzar nahīñ hotā
hazār aise ki phirte haiñ jo ḳhalāoñ meñ
magar ik ham ki vatan meñ safar nahīñ hotā
jise masīl samajhte ho be-misāl hai vo
jo ek baar ho bār-e-digar nahīñ hotā
ḳhud apnā saath bhī ham ko girāñ guzartā hai
safar vahī hai jahāñ ham-safar nahīñ hotā
amiir us kā lahū pī rahā hai barsoñ se
magar ġharīb pe koī asar nahīñ hotā
ḳhalā se guzre haiñ mirrīḳh par bhī pahuñche haiñ
magar kisī kā falak par guzar nahīñ hotā