Khalid Hasan Qadiri

jalwa-e-nau-bahaar ne luT liya luTa diya

Khalid Hasan Qadiri

-2012
jalva-e-nau-bahār ne luuT liyā luTā diyā
gesu-e-mushk-bār ne luuT liyā luTā diyā
bazm meñ kah ke hāl-e-dil un ko kyā hai muzmahil
dīda-e-ashk-bār ne luuT liyā luTā diyā
haa.e vo dil-farebiyāñ husn-e-nazar-fareb kī
jalva-e-husn-e-yār ne luuT liyā luTā diyā
pursish-e-ġham pe haath se dāman-e-zabt chhuT gayā
mehr-e-nigāh-e-yār ne luuT liyā luTā diyā
un kī nazar kī kyā ḳhatā dil se huā qusūr-e-shauq
apne hī rāz-dār ne luuT liyā luTā diyā
haa.e vo chashm-e-nargis-e-jām-e-sharāb-e-ātishīñ
gardish-e-chashm-e-yār ne luuT liyā luTā diyā
aa.e bhī yā na aa.e ab mujh ko ġharaz bahār se
kaif-e-ġham-e-bahār ne luuT liyā luTā diyā
dāvar-e-hashr ke huzūr shikve zabāñ pe ruk ga.e
dīda-e-sharmsār ne luuT liyā luTā diyā
āh-e-jigar-ḳhrāsh se nazm-e-jahāñ badal diyā
'ḳhālid'-e-dil-e-figār ne luuT liyā luTā diyā
Top Urdushayar.com