Khalid Hasan Qadiri

aadmi bhi aadmi ka raazdan hota nahin

Khalid Hasan Qadiri

-2012
aadmī bhī aadmī kā rāzdāñ hotā nahīñ
be ḳhabar rahtā hai lekin bad-gumāñ hotā nahīñ
zahmateñ yaksāñ makān-o-lā-makāñ se kyā huā
kyā ḳhalāoñ se pare bhī āsmāñ hotā nahīñ
ham ki ḳhud rah-rav bhī haiñ rahbar bhī haiñ rahzan bhī haiñ
vaañ pahuñchte haiñ jahāñ par kārvāñ hotā nahīñ
baḌh ga.e iḳhvān-e-yūsuf se ye iḳhvānus-safā
pheñk dete haiñ vahāñ jis jā kuaañ hotā nahīñ
hai jarāhat-āfrīñ darmān-e-dard-e-lā-davā
sho.ala kartā hai sharar-bārī dhuāñ hotā nahīñ
husn-e-be-pardā harīf-e-tāb-e-nazzāra nahīñ
ho nazar ke sāmne lekin ayaañ hotā nahīñ
marg-e-be-hañgām apne shahr kā ma.amūl hai
log mar jaate haiñ koī nauha-ḳhvāñ hotā nahīñ
jo bhī ho jis haal meñ hai zindagī us ko aziiz
jān-e-jāñ kahne se kuchh jān-e-jahāñ hotā nahīñ
be-adā-kārī bhī ḳhāmoshī se mar jaate haiñ log
yaañ pe koī khel mirzā sāhebāñ hotā nahīñ
Top Urdushayar.com