butoñ se kuchh na huā jo huā ḳhudā se huā
davā se kuchh na banā jo huā duā se huā
bharam darāzī-e-dāmān-e-yār kā na rahā
ajiib kaam mire dast-e-nā-rasā se huā
diloñ ko sabr-o-sukūñ to na mil sakā lekin
koī to kaam tirī chashm-e-bā-hayā se huā
lagā dī aag sī jañgal meñ nāb-kāroñ ke
ye fā.eda to mirī ātishīñ-navā se huā
diloñ ko ishq ne baḳhshī hayāt-e-ġham-afzā
ajab nishāna ḳhatā tīr-e-be-ḳhatā se huā
qalandaroñ ne ulaT dī bisāt-e-mai-ḳhāna
na riñd se huā aur kuchh na pārsā se huā
muḳhālifoñ kī bhī jo dushmanī se ho na sakā
vo kaam ik mire dam-sāz-o-āshnā se huā
na kuchh bhī kar sake as.hāb-e-fīl the to bahut
jo kuchh huā tire darvesh-e-be-navā se huā
ghuTan to dil kī rahī qasr-e-marmarīñ meñ bhī
na raushnī se huā kuchh na kuchh havā se huā
vo ek qatl kā ilzām sar pe thā so rahā
qisās se na huā kuchh na ḳhūñ-bahā se huā