Kashif Majeed

kab apne hone ka izhaar karne aati hai

Kashif Majeed

kab apne hone kā iz.hār karne aatī hai
ye aag mujh ko numūdār karne aatī hai
maiñ din meñ ḳhvāb banātā huuñ rañg rañg ke ḳhvāb
magar ye raat unheñ mismār karne aatī hai
añdherā jaatā hai jab bhī ulaT-palaT ke mujhe
to raushnī mujhe hamvār karne aatī hai
havā-e-kūcha-e-duniyā maiñ jāntā huuñ tujhe
tū jab bhī aatī hai bīmār karne aatī hai
jo dil se hotī huī aa rahī hai merī taraf
ye lahr mujh ko ḳhabar-dār karne aatī hai
Top Urdushayar.com