ham se mil kar koī guftugū kījiye
puurī dil kī yahī justujū kījiye
aap kī dushmanī kā maiñ huuñ mo'tarif
vaar kiije magar dū-badū kījiye
dāman-e-dil kī lākhoñ huiiñ dhajjiyāñ
kījiye kījiye ab rafū kījiye
phuul mausam meñ kāñToñ ke bevpār se
jism-o-jān-o-jigar mat lahū kījiye
zindagī ho magar dard-e-hijrāñ na ho
aise jiine kī kyā aarzū kījiye
aap kitne hasīñ haiñ nahīñ jānte
aa.ine ko zarā rū-ba-rū kījiye
'farhat'-e-jāñ kī kyuuñ justujū kījiye
bujhte jīvan kī kyā ab numū kījiye