jalva hai vo ki tāb-e-nazar tak nahīñ rahī
dekhā use to apnī ḳhabar tak nahīñ rahī
ehsās par garāñ rahā ehsās kā tilism
ye umr kī takān safar tak nahīñ rahī
jin par tumhāre aane se khilte rahe gulāb
ab dil meñ aisī rāhguzar tak nahīñ rahī
ik din vo ghar se nikle nahīñ sair ke liye
ab ḳhvāhish-e-numū meñ sahar tak nahīñ rahī
jis ko chhuā thā ham ne kaḌī dhuup jhel kar
vo chhāñv bhī to zer-e-shajar tak nahīñ rahī
ḳhush hai vo aañkh kār-e-masīhā.ī chhoḌ kar
tāsīr us kī zaḳhm-e-jigar tak nahīñ rahī
tum kaise mausamoñ meñ hameñ milne aa.e ho
peḌoñ pe ab to shāḳh-e-samar tak nahīñ rahī
'farhat' maiñ dastakeñ liye hāthoñ meñ rah gayā
merī rasā.ī ab tire dar tak nahīñ rahī