shahr-dar-shahr dīda-var bhaTke
zo.am-e-bātil meñ tājvar bhaTke
ḳhud-sarī meñ jo mo'atabar bhaTke
ham-safar un ke be-ḳhabar bhaTke
fan kī pagDanDiyoñ pe chalte hue
kabhī bhaTke to be-hunar bhaTke
ham jo bhaTke to nā-shanāsā the
rāhbar kyuuñ idhar udhar bhaTke
ek aalam ko jis ne bhaTkāyā
kabhī yuuñ ho ki vo nazar bhaTke
apnī manzil kā ilm hote hue
phir bhī ham jān-būjh kar bhaTke
zindagī ke libās-e-ḳhasta meñ
dhuup meñ ham barahna-sar bhaTke
kis meñ himmat thī ham ko bhaTkātā
apnī ḳhvāhish pe umr-bhar bhaTke
haa.e us gul-badan kī hasrat meñ
yuuñ bhaTaknā na thā magar bhaTke
us ko bhī pā sake nahīñ 'farhat'
jis kī ḳhvāhish meñ dar-ba-dar bhaTke