Farhat Abbas

KHayal aatishin KHwabida suraten di hain

Farhat Abbas

Multan, Punjab, Pakistan

1956
ḳhayāl ātishīñ ḳhvābīda sūrateñ dī haiñ
saḳhā-e-hijr ne ab bhī numā.isheñ dī haiñ
ye ab jo ḳhvāb zamānoñ ne dastakeñ dī haiñ
pas-e-murād haqā.eq kī manzileñ dī haiñ
mire libās ke paivand-e-muflisī pe na jā
mire junūñ ne mohabbat ko ḳhil.ateñ dī haiñ
mire mizāj kā mausam ajiib mausam hai
ki jis ke ġham ne bhī hastī ko raunaqeñ dī haiñ
ham ahl-e-ishq ne tāvān rāhateñ de kar
hudūd-e-arsa-e-vahshat ko vus.ateñ dī haiñ
chalo ye baat ġhalat hai to phir batāo mujhe
har ek haath meñ kis kis ne mish.aleñ dī haiñ
shu.ūr jaa.e to fursat se niiñd bhī aa.e
fishār-e-zāt ne 'farhat' ko ranjisheñ dī haiñ
Top Urdushayar.com