Farhat Abbas

jab teri zat ko phaila hua dariya samjhun

Farhat Abbas

Multan, Punjab, Pakistan

1956
jab tirī zaat ko phailā huā dariyā samjhūñ
ḳhud ko bhīgī huī rātoñ meñ akelā samjhūñ
naam likkhūñ maiñ tirā duur ḳhalāoñ meñ kahīñ
aur har lafz ko phir chāñd se pyārā samjhūñ
yaad kī jhiil meñ jab aks nazar aa.e tirā
aañkh se ashk bhī Tapke to sitārā samjhūñ
dastakeñ detā rahā raat jo galiyoñ meñ use
zehn āvāra kahūñ niiñd kā maarā samjhūñ
vo jo aa jaa.eñ mire paas to un ko 'farhat'
dukh kī baḌhtī huī bārāt kā dūlhā samjhūñ
Top Urdushayar.com