guzre ta.alluqāt kā ab vāsta na de
gum ho chukī kitāb jo us kā pata na de
ab tazkire na chheḌ mire ahad-e-shauq ke
jo bujh ga.ī hai aag use phir havā na de
kuchh is qadar fareb sahāroñ se khaa.e haiñ
maiñ gir paḌūñgā ḳhauf se tū aasrā na de
jis kī jabīn-e-shauq pe likkhā thā merā naam
ab duur jā basā hai tū shāyad bhulā na de
sho.ala jo maujzan hai mohabbat kā dil meñ aaj
Dar hai ki sarsar-e-ġham-e-daurāñ bujhā na de
go chal paḌā huuñ dil se magar chāhtā huuñ ye
uTh kar mujhe vo rok le aur rāsta na de
ḳhālī na koī daulat-e-iḳhlās se rahe
'alvī' kisī ko bhuul ke ye bad-duā na de