shahr ko chhoḌ do aur gaañv ko jaao tum bhī
is ta.alluq ke takalluf ko uThāo tum bhī
aag jañgal meñ bhaḌak jā.egī kal shaam talak
aaj bādal ko adāoñ se lubhāo tum bhī
dūsre chehre mujhe kam haiñ rifāqat ke liye
merī ḳhātir koī chehra to sajāo tum bhī
maiñ kahīñ sabza-e-ḳhud-rau kī tarah ug aa.uuñ
aur vahīñ phuul kī sūrat nikal aao tum bhī
mere hāthoñ meñ tire naam kī koī rekhā
tere hāthoñ meñ na aa.ī ho dikhāo tum bhī
chāñd ko rok diyā maiñ ne in hāthoñ meñ 'suhail'
tum mujhe rok lo jaadū ye dikhāo tum bhī