Adeem Hashmi

logon ke dard apni pashemaniyan milin

Adeem Hashmi

Firozpur, Punjab, India

1946-2001
logoñ ke dard apnī pashemāniyāñ milīñ
ham shāh-e-ġham the ham ko yahī rāniyāñ milīñ
sahrāoñ meñ bhī jā ke nazar aa.e sail-e-āb
dariyā se duur bhī hameñ tuġhyāniyāñ milīñ
aayā na phir vo daur ki jī bhar ke kheliye
bachpan ke ba.ad phir na vo nādāniyāñ milīñ
rah kar alag bhī saath rahā hai koī ḳhayāl
tanhā.ī meñ bhī ḳhud pe nigahbāniyāñ milīñ
paanī ke saath aks bhī bah kar chale ga.e
sūkhī nadī to phir vahī vīrāniyāñ milīñ
apnī hī aañkh par ga.e lamhoñ kā bojh thā
is kī nazar meñ to vahī jaulāniyāñ milīñ
baiThā rahā humā-e-sitam sar pe hī 'adīm'
har dasht-e-karb kī hameñ sultāniyāñ milīñ
Top Urdushayar.com