tere liye chale the ham tere liye Thahar ga.e
tū ne kahā to jī uThe tū ne kahā to mar ga.e
kaT hī ga.ī judā.ī bhī kab ye huā ki mar ga.e
tere bhī din guzar ga.e mere bhī din guzar ga.e
tū bhī kuchh aur aur hai ham bhī kuchh aur aur haiñ
jaane vo tū kidhar gayā jaane vo ham kidhar ga.e
rāhoñ meñ hī mile the ham rāheñ nasīb ban ga.iiñ
vo bhī na apne ghar gayā ham bhī na apne ghar ga.e
vaqt hī judā.ī kā itnā tavīl ho gayā
dil meñ tire visāl ke jitne the zaḳhm bhar ga.e
hotā rahā muqābla paanī kā aur pyaas kā
sahrā umaD umaD paḌe dariyā biphar biphar ga.e
vo bhī ġhubār-e-ḳhvāb thā ham bhī ġhubār-e-ḳhvāb the
vo bhī kahīñ bikhar gayā ham bhī kahīñ bikhar ga.e
koī kanār-e-ābjū baiThā huā hai sar-nigūñ
kashtī kidhar chalī ga.ī jaane kidhar bhañvar ga.e
aaj bhī intizār kā vaqt hunūt ho gayā
aisā lagā ki hashr tak saare hī pal Thahar ga.e
bārish-e-vasl vo huī saarā ġhubār dhul gayā
vo bhī nikhar nikhar gayā ham bhī nikhar nikhar ga.e
āb-e-muhīt-e-ishq kā bahr ajiib bahr hai
taire to ġharq ho ga.e Duube to paar kar ga.e
itne qarīb ho ga.e apne raqīb ho ga.e
vo bhī 'adīm' Dar gayā ham bhī 'adīm' Dar ga.e
us ke sulūk par 'adīm' apnī hayāt o maut hai
vo jo milā to jī uThe vo na milā to mar ga.e