Adeem Hashmi

kyun mere lab pe wafaon ka sawal aa jae

Adeem Hashmi

Firozpur, Punjab, India

1946-2001
kyuuñ mire lab pe vafāoñ kā savāl aa jaa.e
ain mumkin hai use ḳhud hī ḳhayāl aa jaa.e
hijr kī shaam bhī siine se lagā letā huuñ
kyā ḳhabar yūñhī kabhī shām-e-visāl aa jaa.e
ghar isī vāste jañgal meñ badal Daalā hai
shāyad aise hī idhar merā ġhazāl aa jaa.e
dhanak ubhre sar-e-aflāk kaḌī dhuup meñ bhī
dasht-e-vahshat meñ agar terā ḳhayāl aa jaa.e
koī to uḌ ke dahaktā huā sūraj Dhāñpe
gard hī sar pe ghaTāoñ kī misāl aa jaa.e
chhoḌ de vo mujhe taklīf meñ mumkin to nahīñ
aur agar aisī kabhī sūrat-e-hāl aa jaa.e
us ghaḌī pūchhūñgā tujh se ye jahāñ kaisā hai
jab tire husn pe thoḌā sā zavāl aa jaa.e
kuchh nahīñ hai to bhulānā hī use siikh 'adīm'
zindagī meñ tujhe koī to kamāl aa jaa.e
Top Urdushayar.com