ik pal baġhair dekhe use kyā guzar gayā
aise lagā ki ek zamāna guzar gayā
sab ke liye buland rahe haath umr bhar
apne liye duāoñ kā lamha guzar gayā
koī hujūm-e-dahr meñ kartā rahā talāsh
koī rah-e-hayāt se tanhā guzar gayā
milnā to ḳhair us ko nasīboñ kī baat hai
dekhe hue bhī us ko zamāna guzar gayā
dil yuuñ kaTā huā hai kisī kī judā.ī meñ
jaise kisī zamīn se dariyā guzar gayā
is baat kā malāl bahut hai mujhe 'adīm'
vo mere sāmne se akelā guzar gayā
ham dekhne kā Dhañg samajhte rahe 'adīm'
itne meñ zindagī kā tamāshā guzar gayā
baaqī bas ek nām-e-ḳhudā rah gayā 'adīm'
sab kuchh bahā ke vaqt kā dariyā guzar gayā