Adeem Hashmi

rahat-e-jaan se to ye dil ka wabaal achchha hai

Adeem Hashmi

Firozpur, Punjab, India

1946-2001
rāhat-e-jāñ se to ye dil kā vabāl achchhā hai
us ne pūchhā to hai itnā tirā haal achchhā hai
maah achchhā hai bahut hī na ye saal achchhā hai
phir bhī har ek se kahtā huuñ ki haal achchhā hai
tire aane se koī hosh rahe yā na rahe
ab talak to tire bīmār kā haal achchhā hai
ye bhī mumkin hai tirī baat hī ban jaa.e koī
use de de koī achchhī sī misāl achchhā hai
daa.eñ ruḳhsār pe ātish kī chamak vaj.h-e-jamāl
baa.eñ ruḳhsār kī āġhosh meñ ḳhaal achchhā hai
aao phir dil ke samundar kī taraf lauT chaleñ
vahī paanī vahī machhlī vahī jaal achchhā hai
koī dīnār na dirham na riyāl achchhā hai
jo zarūrat meñ ho maujūd vo maal achchhā hai
kyuuñ parakhte ho savāloñ se javāboñ ko 'adīm'
hoñT achchhe hoñ to samjho ki savāl achchhā hai
Top Urdushayar.com