Adeem Hashmi

fasle aise bhi honge ye kabhi socha na tha

Adeem Hashmi

Firozpur, Punjab, India

1946-2001
fāsle aise bhī hoñge ye kabhī sochā na thā
sāmne baiThā thā mere aur vo merā na thā
vo ki ḳhushbū kī tarah phailā thā mere chār-sū
maiñ use mahsūs kar saktā thā chhū saktā na thā
raat bhar pichhlī sī aahaT kaan meñ aatī rahī
jhāñk kar dekhā galī meñ koī bhī aayā na thā
maiñ tirī sūrat liye saare zamāne meñ phirā
saarī duniyā meñ magar koī tire jaisā na thā
aaj milne kī ḳhushī meñ sirf maiñ jaagā nahīñ
terī āñkhoñ se bhī lagtā hai ki tū soyā na thā
ye sabhī vīrāniyāñ us ke judā hone se thiiñ
aañkh dhundlā.ī huī thī shahr dhundlāyā na thā
saiñkaḌoñ tūfān lafzoñ meñ dabe the zer-e-lab
ek patthar thā ḳhamoshī kā ki jo haTtā na thā
yaad kar ke aur bhī taklīf hotī thī 'adīm'
bhuul jaane ke sivā ab koī bhī chārā na thā
maslahat ne ajnabī ham ko banāyā thā 'adīm'
varna kab ik dūsre ko ham ne pahchānā na thā
Top Urdushayar.com