chal diyā vo dekh kar pahlū mirī taqsīr kā
dūsrā ruḳh us ne dekhā hī nahīñ tasvīr kā
baaqī saare ḳhat pe dhabbe āñsuoñ ke rah ga.e
ek hī jumla paḌhā maiñ ne tirī tahrīr kā
tū ne kaise lafz hoñToñ kī kamāñ meñ kas liye
itnā gahrā ghaav to hotā nahīñ hai tiir kā
uzr baaqī chaal meñ hai qaid go baaqī nahīñ
paañv aadī ho gayā hai is qadar zanjīr kā
aa ga.ī kashtī bhaTak kar aab se sū-e-sarāb
bhar gayā reg-e-ravāñ se jaal māhī-gīr kā
baat chhoTī to nahīñ tujh se bichhaḌne kī hai baat
faisla taslīm kar luuñ kis tarah taqdīr kā
yaar logoñ ne use katba banā Daalā 'adīm'
āḳhirī patthar bachā jo umr kī ta.amīr kā
dostoñ se bhī ta.alluq ban gayā hai vo 'adīm'
jo ta.alluq hai kisī shamshīr se shamshīr kā
zahr kī āñkhoñ meñ raushan sūrateñ do haiñ 'adīm'
shakl ik suqrāt kī aur ek chehra hiir kā