sar-e-sahrā musāfir ko sitāra yaad rahtā hai
maiñ chaltā huuñ mujhe chehra tumhārā yaad rahtā hai
tumhārā zarf hai tum ko mohabbat bhuul jaatī hai
hameñ to jis ne hañs kar bhī pukārā yaad rahtā hai
mohabbat meñ jo Duubā ho use sāhil se kyā lenā
kise is bahr meñ jā kar kināra yaad rahtā hai
bahut lahroñ ko pakḌā Dūbne vaale ke hāthoñ ne
yahī bas ek dariyā kā nazāra yaad rahtā hai
sadā.eñ ek sī yaksāniyat meñ Duub jaatī haiñ
zarā sā muḳhtalif jis ne pukārā yaad rahtā hai
maiñ kis tezī se zinda huuñ maiñ ye to bhuul jaatā huuñ
nahīñ aanā hai duniyā meñ dobāra yaad rahtā hai