Adeem Hashmi

gham ke har ek rang se mujhko shanasa kar gaya

Adeem Hashmi

Firozpur, Punjab, India

1946-2001
ġham ke har ik rañg se mujh ko shanāsā kar gayā
vo mirā mohsin mujhe patthar se hiirā kar gayā
ghūrtā thā maiñ ḳhalā meñ to sajī thiiñ mahfileñ
merā āñkhoñ kā jhapaknā mujh ko tanhā kar gayā
har taraf uḌne lagā tārīk sāyoñ kā ġhubār
shaam kā jhoñkā chamaktā shahar mailā kar gayā
chaaT lī kirnoñ ne mere jism kī saarī miThās
maiñ samundar thā vo sūraj mujh ko sahrā kar gayā
ek lamhe meñ bhare bāzār sone ho ga.e
ek chehra sab purāne zaḳhm taaza kar gayā
maiñ usī ke rābte meñ jis tarah malbūs thā
yuuñ vo dāman khīñch kar mujh ko barahna kar gayā
raat bhar ham raushnī kī aas meñ jaage 'adīm'
aur din aayā to āñkhoñ meñ añdherā kar gayā
Top Urdushayar.com