Adeem Hashmi

aankhon mein aansuon ko ubharne nahin diya

Adeem Hashmi

Firozpur, Punjab, India

1946-2001

āñkhoñ meñ āñsuoñ ko ubharne nahīñ diyā

miTTī meñ motiyoñ ko bikharne nahīñ diyā

jis raah par paḌe the tire paañv ke nishāñ

is raah se kisī ko guzarne nahīñ diyā

chāhā to chāhatoñ hadoñ se guzar ga.e

nashsha mohabbatoñ utarne nahīñ diyā

har baar hai nayā tire milne zā.iqa

aisā samar kisī bhī shajar ne nahīñ diyā

ye hijr hai to is faqat vasl hai ilaaj

ham ne ye zaḳhm-e-vaqt ko bharne nahīñ diyā

itne baḌe jahān meñ jā.egā kahāñ

is ik ḳhayāl ne mujhe marne nahīñ diyā

sāhil dikhā.ī de to rahā thā bahut qarīb

kashtī ko rāsta bhañvar ne nahīñ diyā

jitnā sakūñ milā hai tire saath raah meñ

itnā sukūn to mujhe ghar ne nahīñ diyā

is ne hañsī hañsī meñ mohabbat baat

maiñ ne 'adīm' us ko mukarne nahīñ diyā

Top Urdushayar.com