shor sā ek har ik samt bapā lagtā hai
vo ḳhamoshī hai ki lamha bhī sadā lagtā hai
kitnā sākit nazar aatā hai havāoñ kā badan
shāḳh par phuul bhī pathrāyā huā lagtā hai
chīḳh uThtī huī har ghar se nazar aatī hai
har makāñ shahr kā āseb-zada lagtā hai
aañkh har raah se chipkī hī chalī jaatī hai
dil ko har moḌ pe kuchh khoyā huā lagtā hai
kitnā hāsid huuñ ki ik tū hī mirā apnā hai
aur tū Thiik se hañstā bhī burā lagtā hai
mere ehsās ne sāvan meñ gañvā.ī hai nazar
mujh ko sūkhā huā jañgal bhī harā lagtā hai