Adeem Hashmi

mufahamat na sikha jabr-e-narawa se mujhe

Adeem Hashmi

Firozpur, Punjab, India

1946-2001
mufāhamat na sikhā jabr-e-nāravā se mujhe
maiñ sar-ba-kaf huuñ laḌā de kisī balā se mujhe
zabāñ ne jism kā kuchh zahr to ugal Daalā
bahut sukūn milā talḳhī-e-navā se mujhe
rachā huā hai badan meñ abhī surūr-e-gunāh
abhī to ḳhauf nahīñ aa.egā sazā se mujhe
maiñ ḳhaak se huuñ mujhe ḳhaak jazb kar legī
agarche saañs mile umr bhar havā se mujhe
ġhizā isī meñ mirī maiñ isī zamīñ kī ġhizā
sadā phir aatī hai kyuuñ parda-e-ḳhalā se mujhe
maiñ jī rahā huuñ abhī ai zamīn-e-ādam-ḳhor
abhī to dekh na tū itnī ishtihā se mujhe
bikhar chukā huuñ maiñ ab mujh ko mujtam.a kar le
tū ab sameT bhī apnī kisī sadā se mujhe
maiñ mar rahā huuñ phir aa.e sadā-e-kun-fayakūñ
banāyā jaa.e miTā ke phir ibtidā se mujhe
maiñ sar-ba-sajda huuñ ai 'shimr' mujh ko qatl bhī kar
rihā.ī de bhī ab is ahd-e-karbalā se mujhe
maiñ kuchh nahīñ huuñ to phir kyuuñ mujhe banāyā gayā
ye pūchhne kī ijāzat nahīñ ḳhudā se mujhe
maiñ reza reza badan kā uThā rahā huuñ 'adīm'
vo toḌ hī to gayā apnī iltijā se mujhe
Top Urdushayar.com