kis havāle se mujhe kis kā patā yaad aayā
husn-e-kāfir ko jo dekhā to ḳhudā yaad aayā
ek TuuTā huā paimān-e-vafā yaad aayā
yaad aayā bhī mujhe aaj to kyā yaad aayā
shaam ke haath ne jis vaqt lagā lī mehñdī
mujhe us vaqt tirā rañg-e-hinā yaad aayā
kahīñ āñkhoñ kī namī raaz na ifshā kar de
maiñ ne muñh pher liyā tū jo zarā yaad aayā
saare fankār uThā laa.e the shahkāroñ ko
aur maiñ thā mujhe andāz tirā yaad aayā
kitnī duniyā thī mire gird tujhe kyā ma.alūm
baḌī mushkil se mujhe terā patā yaad aayā
tere dāman meñ namī itnī ziyāda kyuuñ hai
kaun sā phuul tujhe bād-e-sabā yaad aayā
jab kisī ko koī ummīd vafāoñ kī na thī
mujhe us pal tirā paimān-e-vafā yaad aayā
qadam uThte the kahāñ sū-e-haram apne 'adīm'
aaj mushkil nazar aa.ī to ḳhudā yaad aayā