Adeem Hashmi

aaghosh-e-sitam mein hi chhupa le koi aa kar

Adeem Hashmi

Firozpur, Punjab, India

1946-2001
āġhosh-e-sitam meñ hī chhupā le koī aa kar
tanhā to taḌapne se bachā le koī aa kar
sahrā meñ ugā huuñ ki mirī chhāñv koī paa.e
hiltā huuñ ki pattoñ kī havā le koī aa kar
biktā to nahīñ huuñ na mire daam bahut haiñ
raste meñ paḌā huuñ ki uThā le koī aa kar
kashtī huuñ mujhe koī kināre se to khole
tūfāñ ke hī kar jaa.e havāle koī aa kar
jab khīñch liyā hai mujhe maidān-e-sitam meñ
dil khol ke hasrat bhī nikāle koī aa kar
do chaar ḳharāshoñ se ho taskīn-e-jafā kyā
shīsha huuñ to patthar pe uchhāle koī aa kar
mere kisī ehsān kā badla na chukā.e
apnī hī vafāoñ kā sila le koī aa kar
Top Urdushayar.com