koī patthar koī guhar kyuuñ hai
farq logoñ meñ is qadar kyuuñ hai
tū milā hai to ye ḳhayāl aayā
zindagī itnī muḳhtasar kyuuñ hai
jab tujhe lauT kar nahīñ aanā
muntazir merī chashm-e-tar kyuuñ hai
us kī āñkheñ kahīñ sadaf to nahīñ
us kā har ashk hī guhar kyuuñ hai
raat pahle hī kyuuñ nahīñ Dhaltī
tīrgī shab kī tā-sahar kyuuñ hai
ye bhī kaisā azaab de Daalā
hai mohabbat to is qadar kyuuñ hai
tū nahīñ hai to roz-o-shab kaise
shaam kyuuñ aa ga.ī sahar kyuuñ hai
kyuuñ ravāna hai har ghaḌī duniyā
zindagī mustaqil safar kyuuñ hai
maiñ to ik mustaqil musāfir huuñ
tū bhalā merā ham-safar kyuuñ hai
tujhe milnā nahīñ kisī se 'adīm'
phir bichhaḌne kā tujh ko Dar kyuuñ hai