baḌā vīrān mausam hai kabhī milne chale aao
har ik jānib tirā ġham hai kabhī milne chale aao
hamārā dil kisī gahrī judā.ī ke bhañvar meñ hai
hamārī aañkh bhī nam hai kabhī milne chale aao
mire hamrāh garche duur tak logoñ kī raunaq hai
magar jaise koī kam hai kabhī milne chale aao
tumheñ to ilm hai mere dil-e-vahshī ke zaḳhmoñ ko
tumhārā vasl marham hai kabhī milne chale aao
añdherī raat kī gahrī ḳhamoshī aur tanhā dil
diye kī lau bhī maddham hai kabhī milne chale aao
tumhāre ruuTh ke jaane se ham ko aisā lagtā hai
muqaddar ham se barham hai kabhī milne chale aao
havāoñ aur phūloñ kī na.ī ḳhushbū batātī hai
tire aane kā mausam hai kabhī milne chale aao