Adeem Hashmi

bas koi aisi kami sare safar mein rah gai

Adeem Hashmi

Firozpur, Punjab, India

1946-2001
bas koī aisī kamī saare safar meñ rah ga.ī
jaise koī chiiz chalte vaqt ghar meñ rah ga.ī
kaun ye chaltā hai mere saath be-jism-o-sadā
chaap ye kis kī mirī har rahguzar meñ rah ga.ī
gūñjte rahte haiñ tanhā.ī meñ bhī dīvār-o-dar
kyā sadā us ne mujhe dī thī ki ghar meñ rah ga.ī
aur to mausam guzar kar jā chukā vaadī ke paar
bas zarā sī barf har sūkhe shajar meñ rah ga.ī
raat dariyā meñ phir ik sho.ala sā chakrātā rahā
phir koī jaltī huī kashtī bhañvar meñ rah ga.ī
raat bhar hotā rahā hai kin ḳhazānoñ kā nuzūl
motiyoñ kī sī jhalak har barg-e-tar meñ rah ga.ī
lauT kar aa.e na kyuuñ jaate hue lamhe 'adīm'
kyā kamī merī sadā-e-be-asar meñ rah ga.ī
Top Urdushayar.com