Adeem Hashmi

jo diya tu ne hamein wo surat-e-zar rakh liya

Adeem Hashmi

Firozpur, Punjab, India

1946-2001
jo diyā tū ne hameñ vo sūrat-e-zar rakh liyā
tū ne patthar de diyā to ham ne patthar rakh liyā
siskiyoñ ne chaar sau dekhā koī Dhāras na thī
ek tanhā.ī thī us kī god meñ sar rakh liyā
ghuT gayā tahzīb ke gumbad meñ har ḳhvāhish kā dam
jañgaloñ kā mor ham ne ghar ke andar rakh liyā
mere bāloñ pe sajā dī garm sahrāoñ kī dhuul
apnī āñkhoñ ke liye us ne samundar rakh liyā
darz tak se ab na phūTegī tamannā kī phuvār
chashma-e-ḳhvāhish pe ham ne dil kā patthar rakh liyā
vo jo uḌ kar jā chukā hai duur mere haath se
us kī ik bichhḌī nishānī taaq meñ par rakh liyā
diid kī jholī kahīñ ḳhālī na rah jaa.e 'adīm'
ham ne āñkhoñ meñ tire jaane kā manzar rakh liyā
pheñk deñ galiyāñ birūn-e-sahn sab is ne 'adīm'
ghar ki jo māñgā thā maiñ ne vo pas-e-dar rakh liyā
Top Urdushayar.com