Adeem Hashmi

aisa bhi nahin us se mila de koi aa kar

Adeem Hashmi

Firozpur, Punjab, India

1946-2001
aisā bhī nahīñ us se milā de koī aa kar
kaisā hai vo itnā to batā de koī aa kar
ye bhī to kisī maañ kā dulārā koī hogā
is qabr pe bhī phuul chaḌhā de koī aa kar
sūkhī haiñ baḌī der se palkoñ kī zabāneñ
bas aaj to jī bhar ke rulā de koī aa kar
barsoñ kī duā phir na kahīñ ḳhaak meñ mil jaa.e
ye abr bhī āñdhī na uḌā de koī aa kar
ye koh ye sabza ye machaltī huī nadiyāñ
mar jā.ūñ jo manzil kā patā de koī aa kar
har ghar pe hai āvāz har ik dar pe hai dastak
baiThā huuñ ki mujh ko bhī sadā de koī aa kar
is ḳhvāhish-e-nākām kā ḳhuuñ bhī mire sar hai
zinda huuñ ki is kī bhī sazā de koī aa kar
Top Urdushayar.com