tamām umr kī tanhā.ī kī sazā de kar
taḌap uThā mirā munsif bhī faisla de kar
maiñ ab marūñ ki jiyūñ mujh ko ye ḳhushī hai bahut
use sukūñ to milā mujh ko bad-duā de kar
maiñ us ke vāste sūraj talāsh kartā huuñ
jo so gayā mirī āñkhoñ ko rat-jagā de kar
vo raat raat kā mehmāñ to umr bhar ke liye
chalā gayā mujhe yādoñ kā silsila de kar
jo vā kiyā bhī darīcha to aaj mausam ne
pahāḌ Dhāñp diyā abr kī ridā de kar
kaTī huī hai zamīñ koh se samundar tak
milā hai ghaav ye dariyā ko rāsta de kar
chaTaḳh chaTaḳh ke jalī shāḳh shāḳh jañgal kī
bahut sharār milā aag ko havā de kar
phir is ke ba.ad pahāḌ us ko ḳhud pukāreñge
tū lauT aa use vaadī meñ ik sadā de kar
sutūn-e-reg na Thahrā 'adīm' chhat ke tale
maiñ Dah gayā huuñ ḳhud apne ko aasrā de kar