abhī dukhī huuñ bahut aur bahut udaas huuñ maiñ
hañsūñ to kaise ki tasvīr-e-dard-o-yās huuñ maiñ
qarīb rah ki bhī tū mujh se duur duur rahā
ye aur baat ki barsoñ se tere paas huuñ maiñ
bhaTak rahā huuñ abhī ḳhār-dār sahrā meñ
magar mizāj-e-gulistāñ se rū-shanās huuñ maiñ
jo tīrgī meñ diyā ban ke raushnī baḳhshe
us e'timād kī halkī sī ek aas huuñ maiñ
ḳhud apne haath se siitā huuñ aur pahantā huuñ
is ahd-e-nau kā vo bikhrā huā libās huuñ maiñ
'kamāl' mujh ko na.ī nasl yaad rakkhegī
kitāb-e-zīst kā ik aisā iqtibās huuñ maiñ