gul-o-saman kī tarah dil meñ hañs rahe haiñ ham
ye aur baat ba-zāhir bujhe bujhe haiñ ham
koī bhī vāhima gumrāh kar nahīñ saktā
tire ḳhayāl kī zanjīr meñ bañdhe haiñ ham
kabhī to uljhā kiye kaise kaise logoñ se
kabhī to aise huā ḳhud se laḌ paḌe haiñ ham
nigār-ḳhāne meñ tasvīr-e-ḳhastā-tar kī tarah
kisī ke sāmne kab se saje hue haiñ ham
kiye haiñ auroñ pe tanqīd-o-tabsare lekin
ḳhud apnā jā.eza ab tak na le sake haiñ ham
hamesha aap ko samjhā ki aap apne haiñ
hamesha aap ne samjhā ki dūsre haiñ ham
'kamāl' ham se ḳhushāmad kisī kī ho na sakī
is e'tibār se mash.hūr sar-phire haiñ ham