ai mausam-e-junūñ ye ajab tarz-e-qatl hai
insāniyat ke khetoñ meñ lāshoñ kī fasl hai
apne lahū kā rañg bhī pahchāntī nahīñ
insān ke nasīb meñ andhoñ kī nasl hai
munsif to faisloñ kī tijārat meñ lag ga.e
ab jaane kis se ham ko taqāzā-e-adl hai
dushman kā hausla kabhī itnā qavī na thā
mere tabāh hone meñ terā bhī daḳhl hai
laḌte bhī haiñ to pyaar se muñh moḌte nahīñ
ham se kahīñ ziyāda to bachchoñ meñ aql hai
tārīḳh kah rahī hai ki chehra badal gayā
insān hai musir ki vahī apnī shakl hai
dāvā-e-ḳhūñ-bahā na tazallum na ehtijāj
kis be-navā-e-vaqt kā 'ibrat' ye qatl hai