apne ehsānoñ kā niilā sā.ebāñ rahne diyā
chhīn lī chhat aur sar par āsmāñ rahne diyā
aaj us kī be-zabānī ne mujhe samjhā diyā
kis liye fitrat ne gul ko be-zabāñ rahne diyā
zindagī to kyā asāsa tak nahīñ baaqī bachā
qātiloñ ne ab ke bas ḳhālī makāñ rahne diyā
ḳhauf-e-rusvā.ī se maiñ ne ḳhat jalā Daalā magar
jaane kyuuñ us chāñd se lab kā nishāñ rahne diyā
dostī ko apnī majbūrī nahīñ samjhā kabhī
fāsla maiñ ne barābar darmiyāñ rahne diyā
be-gunāhī kī safā.ī de bhī saktā thā magar
kuchh samajh kar maiñ ne us ko bad-gumāñ rahne diyā
aag ke bāzīgaroñ ne ab ke khel aisā khelā
shahr kī taqdīr meñ ḳhālī dhuāñ rahne diyā
kyā siyāsī chaal hai ye zālimān-e-vaqt kī
le liyā sab kuchh magar ik ḳhauf-e-jāñ rahne diyā
chauñk chauñk uThtā huuñ maiñ rātoñ ko 'ibrat' ḳhauf se
ḳhvāb us ne merī āñkhoñ meñ kahāñ rahne diyā