shām-e-vāda kā Dhal gayā saaya
aane vaalā abhī nahīñ aayā
zindagī ke ġhamoñ ko apnā kar
ham ne dar-asl tum ko apnāyā
justujū hī diloñ kī manzil thī
ham ne kho kar tujhe, tujhe paayā
zindagī naam hai judā.ī kā
aap aa.e to mujh ko yaad aayā
ham ne terī jafā ke parde meñ
ḳhud bhī dil par bahut sitam Dhāyā
zindagī se to ḳhair shikva thā
muddatoñ maut ne bhī tarsāyā
'shād' ahhl-e-tarab ko bhī aksar
merī afsurdagī pe pyaar aayā