hayāt hai ki musalsal safar kā aalam hai
har ek saañs meñ vahshī ġhazāl kā ram hai
jahāñ azal se ghaTā-Top zulmateñ haiñ muhīt
vahāñ bhī aaj farozāñ nigāh-e-ādam hai
unhīñ ke ḳhuun se damkegā kal ruḳh-e-gītī
hayāt jin ke liye aaj sāġhar-e-sam hai
usī kī aañch se pighlegā zindagī kā jumūd
jo soz aaj ba-zāhir diloñ meñ kam kam hai
jahān-e-soz hai mere ḳhunuk tarānoñ meñ
maiñ vo sharār huuñ jis par ridā-e-shabnam hai
na jaane jaag uThe 'shād' kab nasīb-e-jahāñ
bahut dinoñ se mizāj-e-hayāt barham hai