ek dhokā hai ye shab-rañg saverā kyā hai
ye ujālā hai ujālā to añdherā kyā hai
tū mire ġham meñ na hañstī huī āñkhoñ ko rulā
maiñ to mar mar ke bhī jī saktā huuñ merā kyā hai
zarre zarre meñ dhaḌaktī hai koī shai jaise
tirī nazroñ ne fazāoñ meñ bikherā kyā hai
dard-e-duniyā kī taḌap dil meñ mire rahne de
tū to āñkhoñ meñ bhī rah saktī hai terā kyā hai
tañg hai 'shād' mire zauq kī vus.at ke liye
halqa-e-zulf hai āfāq kā gherā kyā hai