yaqīñ se phūTtī hai yā gumāñ se aatī hai
ye dil meñ raushnī āḳhir kahāñ se aatī hai
makāñ jale haiñ makīnoñ ke qatl-e-ām ke ba.ad
mahak lahū kī umañDte dhuāñ se aatī hai
payām laatī hai auj-e-firāq kā mujh tak
havā jo mil ke mire mehrbāñ se aatī hai
qarār detī hai vo ā.īne ko manzil-e-dīd
jo gard uḌ ke abhī kārvāñ se aatī hai
ziyā-e-roz-e-azal zulmat-e-shabān-e-girāñ
fazā hai jo bhī isī āsmāñ se aatī hai
hamīñ na jā sake sajde meñ vasl paane ko
sadā to ab bhī 'tarāz' āstāñ se aatī hai