ḳhema-zan kaun hai āḳhir ye kanār-e-dil par
kis kā afsūñ hai ki raushan haiñ ishāre dil par
shām-e-e.ajāz ajab aa.ī hai tanhā.ī meñ
kahkashāñ se utar aa.e sitāre dil par
lag gayā thā kisī ruḳhsat pe jo mābain-e-shabāb
daaġh us zaḳhm kā ab tak hai hamāre dil par
jaise mahfūz ho tum mere nihāñ jazboñ meñ
kyā usī tarah maiñ zinda huuñ tumhāre dil par
jab ki ham bhī nahīñ āmāda baġhāvat pe abhī
kaise uḌte hue āḳhir haiñ sharāre dil par
jo mile dahr se vābasta tasāvīr ke saath
rakh liye dard to ham ne bhī vo saare dil par
kaun mahjūb hai āñkhoñ se ba-zāhir 'rāshid'
kis ke hone ke yuuñ sābit haiñ nazāre dil par