Rashid Taraz

kis ki aankhon ki hidayat se mujhe dekhta hai

Rashid Taraz

1958
kis kī āñkhoñ kī hidāyat se mujhe dekhtā hai
ā.īna apnī firāsat se mujhe dekhtā hai
jab se utre haiñ mire dil pe ye ālām-e-zamīñ
āsmāñ jhuk ke rifāqat se mujhe dekhtā hai
maiñ gunahgār huuñ āñkhoñ meñ abhī tak apnī
jaane vo kis kī niyābat se mujhe dekhtā hai
mā.il-e-raqs nahīñ paañv meñ zanjīr nahīñ
phir bhī zindāñ hai ki vahshat se mujhe dekhtā hai
ek din Daalī thī buniyād mashaqqat kī yahāñ
ab ye sahrā bhī mohabbat se mujhe dekhtā hai
dil kī āvāz pe niklā thā baġhāvat ke liye
shahr kā shahr himāyat se mujhe dekhtā hai
raushnī chhā.ī huī rahtī hai ab mujh pe 'tarāz'
koī to hai jo ināyat se mujhe dekhtā hai
Top Urdushayar.com